Wo thi hi itni naazuk, wo aisi naazuk nahi thi ki kisi ko kuch bhi kehne ka mauka dede, apni baat kab, kaha aur kaise rakhni hai iska ilm usee achche se tha.
Usko jaan-ne waalein log usee cupid bulaate thhe. Cupid(??????) jo pyaar ka maseeha hota hai ‘Eros ki assistant’. Wo aisi ladki thi jo bohot saadgi aur khushi parast zindagi pasand karti thi.
Dusro ko pyaar ki advise dena aur college ke love-birds ke beech hui ladaai mai sahi solution dena uska kaam tha. Wo khud pyaar se anjaan thi lekin, kitni ajeeb baat thi ki cupid kehlaane waali wo naazuk si ladki pyaar naam k ehsaas se ab tak waakif na hui thi. Par ye ehsaas jald hi uske dil ke darwaazon mai dastak dene waala tha.
Uss thand ki subha woh history department ke lawn mai bethi apni dost Roshna ka intezaar kr rahi thi, sooraj ki kirne uske gulaabi chehre ko aur rangat de rahi thi apni aankho ko haath se dhak wo unn sunheri kirno ko uski numaish karne se bacha rahi thi ki tbhi uski aankh ek aise insan pe padi jisko usne khwaabon-khayaalon mai bhi dobara dekhne ka na socha tha.
Ye insan uss phle waale ‘Zaan’ se bahut alag tha, wo ‘Zaan’ toh chota sa hua krta hai ‘Lizba’ ka bestfriend uska neighbour aur uske har bachpan ki shaitaan-iyon ka sachcha jodidaar, wo Zaan jo 7saal pehle apni maa-papa ke saath uske papa ke promotion ke wajha se Arab chala gaya tha Lizba ko, apni bachpan ki ekloti dost ko chod kar.
*Flashback* *7years back*
11 years old Zaan- Izzie tu jaanti hai na tu meri bestfriend hmesha2 ke liye rahegi. Mai jaane se pehle tujhe apni sabse keemti cheez de raha hun. Ye daadi ne mujhe Allah ke pass jaane se pehle diya tha, Zaan ne lizba ki uss choti si kalhai mai ‘inuit charm’ pehna diya tha jo usee bahut keemti tha aur usse bhi zyada uski izzie uski bestfriend uske liye .
11 years old Lizba- Apni aankhon mai aansu bhare Lizba ne Zaan se kaha ki tu mere saath mere ghar pe ruk jaa warna mai bht roungi, tu mujhe chodh kar kyun jaa raha hai. Ab jab bhi ‘Aahil’ meri chooti kheechega toh tu ni hoga na waha usko maarne, jb maa-papa ki ladai hogi roz ki tarha toh tu ni hoga na mere saath tree-house mai chipne ke liye, jab bhi mujhe chot lagegi toh tu ni hoga na meri aankh band kar dawai lagane ke liye. Ab hum kabhi ni milenge Zaan?? Roti aur sisakti hui uss 11 saal ki Izzi ne Zaan se pucha.
Zaan- Izzi mai tujhe khat likhunga, har hafte tujhe phone bhi karunga tu mujhe batana mai Arab se hi ‘Aadil’ ko maarunga agr usne tujhe pareshaan kiya. Tujhe mai sabse zyada yaad karunga Izzie. Mai kaise rahunga tere bina, Dono masoom se ek doosre ke gale lag kar rone lage.
Wo dono colony ke park mai bethe the apne favourite spot pe, jaha unhone apna saara bachpan khel kar guzaara tha. Ke tabhi car bahar compound mai aakar ruki aur horn diya. Mrs Rizvi (Zaan’s mom) usse bhr nikli aur Izzie unko dekhte saath hi unke ps jaakr unke gale lag kar rone lagi. Zaan bhi uss hug mai shaamil hogaya aur peeche se Mr Rizvi ne Izzie ko apne haath mai utha kr zoron se hawaa mai uchaal diya. Zoron se Izzi ki muh se hasi ki kilkaari nikal gai. Mr & Mrs Rizvi Lizba ko apni hi bacchi ki tarha chahte tthe, kabhi2 toh Zaan Izzi se jealous hojata tha ki uske parents Izzi ko zyada importance dete tthe
Izzie ke maa-papa hr waqt ladai mai mashgool rehte tthe isliye Izzie ko apne ghar se zyada Rizvi’s ke yaha rehna pasand tha, wo school ke baad Rizvi’s ke yaha Zaan ke saath aajati aur phir shaam ko apne ghar jaati, uske maa-papa ke Risvi’s se achche taalluk-aat tthe isliye unhone kabhi Izzi ko mana bhi nahi kiya.
Zaan ke jaane ka waqt ho gaya tha unki flight 2ghanton mai rawaana hone waali thi isliye Mr & Mrs Rizvi, Zaan ko park se pick up karne aur Izzi ko uske aane waale 12th b’day ka gift dene aae tthe. Mrs Rizvi ne Izzi ke bare neck pe ek chain pehna di jisme ek wood pendant tha usko kholne par ek side Zaan aur ek side Lizba ki photo thi. Mr Rizvi ne izzi ko maathe pe chuma aur Mrs Rizvi ne usee aakhiri baar mamta se gale laga liya.
Izzi ne Zaan ko apni ‘Star wars’ waali ring dedi jo Zaan ko bht pasand thi.
Zaan- Mai tumhe humesha khat likhunga Izzi mujhe jawaab bheja karna. Mujhe tum bahut yaad aaogi.
Izzi- Izzi ka gala ruhaansa tha uske muh se bas 2 alfaaz nikle ‘Mai Bhi’.
Mrs Rizvi aur Mr Rizvi dono ne Zaan ka haath pakda aur usee gaadi tak le gae. Zaan ne aakhiri baar Izzi ko muddkar dekha aur uss din Izzi ne Zaan ko sabse badi smile di. Taaki Zaan ko uska rota hua nahi hasta hua chehra yaad rahe.
Aur Zaan uss din gaadi mai beth kar Izzi se duur chala gaya tha.
Zaan ne Izzi ko kabhi letters ni likhe, kabhi phone nahi kiya, Aur Izzi ko Zaan ka Address nahi pata tha Isliye wo usko kabhi khat nahi likh paai. Lizba ki har subha iss khwaish mai hui aaj Zaan ka letter aaega ya aaj Zaan phone karega pr Lizba ki har raat rote hue guzarti thi aur har din maa-papa ki ladayi ki aawazon mai.
Badhte Saalon ke saath Izzi ek khoobsurat, khoobseerat ladki banti gai. Izzi ab Cupid ki assistant kehlaane lagi thi par khud ne pyaar ka jhonka tak nahi dekha tha aur aise mai Zaan uska bestfriend 7 years baad uski aankhon k saamne khada tha, Ek bahut handsome aur dashing personality ka maalik ban gaya tha ab wo chota sa Zaan .................
0 Comments